Wednesday, August 8, 2012

AASHAAYE :))


EK ANSULJHEE PAHELI HAI , YE AASHAAE...

ma ko bete se aashae,
bete ko baap se aashaae,
har rishte ko har rishte va rishtedaaro se aashaae,
inshaan ko bhagwaan se aashaae,
panchhi-janvaro ko inshano se aashaae,
girte jharne, bahti nadiyaan,
chilmilati dhoop, shital hawa,
suraj-chand, rengte kire-makore,
sabko aashaae, sabse aashaae...........
aashaaon ko khud se aashaae,,,,,,

 PR KYA HAIN YE AASHAAE?

 ma k sapne hain aashaae,
baap ka pyaar hai aashaae,
bete ki jaroorat hain aashaae,
inshaano ki prathna hai aashaae,
janvaro ki bhookh hai aashaae,
panchhiyo ki sukh hai aashaae,
jharne ki rukh hai aashaae,
nadiya ka sagar hai aashaae,
dhoop ki roshni, hawa ki chahat,
suraj ka swabhimaan, chaand ka abhimaan hai aashaae,
or aashaaon ki aash hain aashaae............................................................................................................................

zindgi........!!


Ek dhoondhli si tashvir,jise sbne smjha apni tqdir!
Kismat ka khel, haantho ki lakir,ret pe chalna, maano bhir me ek fakir!... Aasaan hota toh chalte kyo,bachpan se budhapa sbko jhelte kyo!

Muskaan toh kvi aansu, girna toh kvi sambhalna hai,jitni bari jivanrekha utna sbko chalna hai!

Rangmanch hai, khelte jaao,chhoti ho ya bari, apni jindgi hai jite jaao!

Jbtk chalna hai, kadam badhte rahenge,dagmagaenge, rukenge, fislenge, par fir v chalenge !!

~ mandavi ~
ek khusboo hawa me faiyl rahi thi,
mere mann ko chhu kr gujar rhi thi..

Bar-bar ek sihran si deti..
Jaese kuchh thi., kahna chahti..!


Pr main kuch v samajh naa pai,

pahchan kr v shayad anjaan thi main,

dil aage kya kare use pareshaan thi main,

jab khud ko tanha karke,,
hawaon ko main chhuna chaahi...

Toh hawaon ne rukh badal diya :(

pahle maine andekha kia, ab usne mujhe andekha kr diya !!
~mandavi

ek panne me pura bachpan batana......mushkil hai... :)


sarko pr humari nadiyaan, or uspar humari naav thi.
jhilmil  taaro ka mausam tha,
na chahre pr jhurri prne ki fikr thi,
naa pairo me chhaalo ka jakhm tha!

5 fit ki unchai se kude to haddi na tutengi,
ya cosco ki gend se chot lage to jakhm na parengi,
dada-dadi ki kahaniyaan hoti thi,
maa ki mithi daant, papa ka anokha pyaar hota tha!

naa shabdo ka taal-mel aata tha,
naa eesh-mantro ka bol aata tha,
gaane v ulta-fulta gaate the,
padhai k vakt kahaniyaan banate the!

mammi ki saari pahan kr khelna,
bhaiyo ka chhup kr mammi bulana,
fir do-char khoti baate hume sunana,
fir ve sorry bolkar hume manana!

chhuppan-chhuppi, denga-paani humare favt. game the,
eente humari naav thi, or mitti paani hote the,
kad se chhote the to faiyda hota tha,
ek podhe me chhipte, to koi dekh naa pata tha!

bevajha k thhahake hote the,
to kvi bemausum jhagarne ki aawaze hoti thi,
sapno bhari duniya hoti thi,
muskaan bhare mausum hote the!

aaj v yaad hai....
humare nanhe haanth baaluon k ghar banate the,
humare nanhe kadmo k chakr se mitti ki thaali bnti thi,
puri dharti humare canvas the,
puri sarak pr humari duniya hoti thi!

ek saheli baag me hoti thi or roti thi,
baaki saheli aansoo ko pochhti thi,
to kvi posumpaa vali rail chalti thi,
to kvi chitthi aai hai vali game chalti thi!

vaese ........ ek panne me pura bachpan batana mushkil hai...... :( :)||

                             -mandavi-

Monday, May 7, 2012

MUSKAAN :)

khaamoshia chahre se bayaan nhi hoti,
ye to vo ehsaas hai, jo dil se jude hote hain,
palko pe aansuo ka manjar bhara ho,
fir v muskurate chahre aansuo ko chhipa dete hain,
or ek pyaari muskaan se sbko rula dete hain...!

Sabo ko muskaan se kitna lagaav hai,
or palkain aansuo ko giraane ko taiyaar hai,
pr sbki chah ko, pyaar karke,
khaamoshia,...muskaan ka saath deti hain....!

Dil usse bahot rota hai,
kyunki aansu nhi nikalti hai,
dharkan siskiyaan leti hain,
hrpal takleef se gujarti hai,
fir v ye pyaare muskaan dil ko paresaan karti hain....!

Lekin muskaan ko, dil ki fikr hai,
or jab dil bilkul akela ho, tovi muskaan saath nai chhorti,
aansuo me muskaan, khud ko milaakar,
us khaamoshia ko hansata hai.....!

Ye to muskaan ka pyaar hai khaamoshio k lie,
jo uska harpal saath nibhata hai,
chahe gum ho, ya khushi ho,
chahe aansu ho, ya hansi ho,
ye pyaara muskaan, hrwakt saath rahta hai, hrwakt saath rahta hai.......!!
- mandavi ♥ ♥
~poem 4 luvers~

ek khamosh najar ne pyaar se dekha mujhe,
main kon hun, kya hun, naasamajh kr chaaha mujhe,
naa ek labz bole, fir v dil ki hr baat samajh li,
aankho ko mere padhkr mujhse muhabbat kr li ...!! ♥ ♥

Main use chaahti hun ya nhi,....pataa nhi,
pr dil ki dharkan us bin tarasti hai,
vo kuchh kehta hai kuchh begaana saa....pataa nhi,
pr jb vo nhi hota, toh kyo aankhe barasti hain !! ♥ ♥

Meri ek muskaan ke lie vo paresaan hai,
vo kon hai, kaesa hai, isse dil anjaan hai,
mere hone ka ehsaas vo mahsoos karta hai,
vo meri chaahat hai ya sirf sapna, fir v dil uspe marta hai. !! ♥ ♥

Use yaad krke bhid me khud ko akela naa samjhoo,
vo ajnabi kon hai, jise main jamaane se pyaara samjhoo,
ehsaas se ehsaas jud si rahi hai,
vo anjaan chehra mujhse kuchh kah rahi hai. !! ♥ ♥

Pyaar to hmne ki nhi, pr pyaar hua kyo?
Dil mera tanha tha, pr usse juda kyo?
Iss anjaane ehsaas ne, pyaar karna sikhaya hai,
pyaar dil se dil ka hota hai, ye mujhe bataayaa hai !! ♥ ♥

~ mandavi ~

BHEEGTE AANSU

Chhoti si jhhopri me mahlo ka sookh,
chehro ki asiim muskurahat ne,
aankho ka dard chhipaya hai,
ek roti ko sbne milbaatkr khaaya hai,
kaese hai ye muskurate chehre,
jo harpal hanste rahte hain,
dukh ke sailaab hai jivan me,
par vo masoom chehre dard chhipae muskurate rhte hain. !!

Chataai pr sonaa, maano gadde wale bichhavan,
ek fati-patli si chaadar me vo bitaae pura jivan,
kaagaz ya patte, inke chaandi wale thaal hain,
sharir bejaan hai or unpar hazaro ghaav hain,
par ye thhahaako ki awaaz,
ek nai kahani bayaan karti hai,
jo inke aankho ko padh sakta hai,
vohi inki muskurahat ko samajh sakta hai. !!

Baarish me chhapk-chhapk kr khelnaa,
un asiim boöndo me unke aansuo ka milna,
maa-baap ke dard ko samajhte ye bachche,
bachpan se anjaan, kam umr me bade hote ye bachche,
ek chhoti khushi inko mehngi lagti hai,
kaese hai ye muskuraate chahre,
jo harpal hanste rahte hain......!!

~mandavi~

wishes of unborn baby

Main so raha tha,
par ab bechaini si hai,
ek sukun sa tha,
par ab sab alag sa lag rha hai,
MAA tu paresaan hai,
mujhe tere aansuo ka ehsaas ho rha hai..

Main tere aansu ko kaese ponchhu,
ye sochkr main ro rha hun,
kaash main baahar hota :(
par avi to main tere andar so rha hun..

Tu din-raat mere lie paresaan hai,
har vakt taqleef me rhti hai,
main tere kokh me sukun se hun,
par tu fir v mere lie sochti hai...

Tu mujhe dekhne ko bechain hai,
main ye jaanta hun,
main kaesa dikhunga, swasth rahunga,
in sbse tu anjaan hai.
Par main apne bnd aankho se,
hrpal tujhme khud ko pata hun.
Duniya kaesi hai, mujhe nhi pata,
pr sbse khubsurat tu hai, ye main jaanta hun...!

MAA , agar main bahar aakar,
duniya k chakachondh me tujhe bhul jaaun,
to nhi chahiye mujhe ye zindgi,
isse achha to main tere andar hi so jaaun..!

Main yhi khush hun, sukun se hun,
meri MAA, tu mujhe hrpal yaad rakhna.
Kyunki main bahar nhi aana chahta,
iss rangili duniya k lie tujhe khona nhi chahta hun,
islie main humesa k lie teri kokh me sona chahta hun..!! ♥

♥ ~ mandavi ~ ♥

Sunday, May 6, 2012

BARI AJEEB HAI YE JINDGI


"BARI AJEEB HAI YE JINDGI...
subah utho to khushnuma sawera.....
dophar ho to chilchilati garmi.....
shaam ko logo ka shailab.....
raat ko shitalta ki chaav,
ek din me kai rang dikhati hai ye jindgi,
bari tanha or akeli hai ye jindgi,
kabhi chup rhti to kabhi bolti hai ye jindgi !!!
.....bari ajeeb hai ye jindgi.....
ek jivan me kai jivan jilati hai.....
har pal ek nai kahani sunati hai.....
kahte hai ki ek jivan akela hota hai.....
par kyon kai jivan se jor deti hai ye jindgi,
bari sahmi or simti hai ye jindgi,
kabhi suljhi to kabhi uljhi hai ye jindgi !!!
.....bari ajeeb hai ye jindgi.....
swayam ko fatkarti hai.....
to kabhi dayalu ban jaati hai.....
dukh , to kabhi sukh deti hai.....
har ek nayi sachchaai se avgat karati hai ye jindgi,
bari anubhavpurn or bhaavuk hai ye jindgi,
kabhi roti to kabhi roolati hai ye jindgi,
JIVAN K KAI RANG DIKHLATI HAI YE JINDGI
BARI AJEEB HAI YE JINDGI......""

Aansuo ki dastak


Kisi ne dil pe dastak di hai,
Jamane se larkar mujse ibadat ki hai,
ek halki si aahat di, or usne puchha.
Kya tmne mujhse muhabbat ki hai????
Achanak meri aankhe bnd ho gai hai,
fir bnd aankho ne v puchha,
kye tmhe muhabbat ho gai hai???

Main dauri-bhaagi, chhikhi-chillai or boli......
Haan mujhe muhabbat ho gai hai!
Haan mujhe muhabbat ho gai hai!
Sab chup ho gae....., tb dil ne puchha
muhabbat hui, to kisse hui hai???
Main muskurai , kaha avi rahne de,
hai koi jiski ibadat maine ki hai,
shayad usi se muhabbat ho gai hai !!!
Dil ne kaha ,kuchh to bata uske baare me....
Maine kaha, to chal uski duniya, uski baharo me,
dil ne kaha. . .ye kya yaha rakhegi mujhko??
Na khushi hai na koi shor hai,
ye kaesi muhabbat hai, jiska na tujhpe koi zor hai,

kaanto ki chubhan hai, patjhar ka mausum hai,
baarish ki boond v nahi, na logo ki chahal hai,
yaha to ghutan hai, ab chal yaha se ye dharkan ki pahel hai,,,

maine kaha...naa, ab yhi mera ghar hai.,,,,
parchhai meri mej hai, kaante meri shej hai,
andhera meri muskurahat, or shanti unki aahat hai,
aansuon ko maine chaha hai, usi ki ibadat ki hai,
sb ne use thukraa dia, islie maine usse muhabbat ki hai...
Bs kuchh khushi deni hai use, aesi maine kasam li hai,
uski daaman me main foolon ko bhar dun, islie usse muhabbat ki hai!!
Haan maine muhabbat ki hai. . . . . !!!

TALAASH


Ek roshni ko talashne nikli thi akele,

bhir-bhar se bhare the mele,

thhokar lagi, kaante chubhe,...
patthar khaai, logo k taane mile,

Aansu nikle, phir v muskaan na hati,

ghaav hue, pr hosle ab v buland the,
apni chah ko, apni aawaaz banaai,

dil me chhupe armaan ko....Jeet ki aagaaz banaai,,,,!

Khwaabo ne mujhe hosala dia,

roshni ki talaash ne jine ka kalaa dia,

roshni dhoondhte itna dur nikal gai,

ki pichhe tashveer dhoondhli si par gai,

sb khaamosh saa thaa.....

Pair k nisaan v mit gae,...

Aage ka raasta kathin tha,....

Pr majboot iraado ne hosla dia,.....

Fir nikal pari us nai raah par....

Jaha pairo tale paani tha, or tha mann aasmaa pr,..

Chahre pe muskaan khili..

Andar se ek aawaaz mili...

Jeet tumhari hogi, jeet tumhari hogi, jeet tumhari hogi !! :))

♥ ~ MANDAVI ~♥