Wednesday, August 8, 2012

ek panne me pura bachpan batana......mushkil hai... :)


sarko pr humari nadiyaan, or uspar humari naav thi.
jhilmil  taaro ka mausam tha,
na chahre pr jhurri prne ki fikr thi,
naa pairo me chhaalo ka jakhm tha!

5 fit ki unchai se kude to haddi na tutengi,
ya cosco ki gend se chot lage to jakhm na parengi,
dada-dadi ki kahaniyaan hoti thi,
maa ki mithi daant, papa ka anokha pyaar hota tha!

naa shabdo ka taal-mel aata tha,
naa eesh-mantro ka bol aata tha,
gaane v ulta-fulta gaate the,
padhai k vakt kahaniyaan banate the!

mammi ki saari pahan kr khelna,
bhaiyo ka chhup kr mammi bulana,
fir do-char khoti baate hume sunana,
fir ve sorry bolkar hume manana!

chhuppan-chhuppi, denga-paani humare favt. game the,
eente humari naav thi, or mitti paani hote the,
kad se chhote the to faiyda hota tha,
ek podhe me chhipte, to koi dekh naa pata tha!

bevajha k thhahake hote the,
to kvi bemausum jhagarne ki aawaze hoti thi,
sapno bhari duniya hoti thi,
muskaan bhare mausum hote the!

aaj v yaad hai....
humare nanhe haanth baaluon k ghar banate the,
humare nanhe kadmo k chakr se mitti ki thaali bnti thi,
puri dharti humare canvas the,
puri sarak pr humari duniya hoti thi!

ek saheli baag me hoti thi or roti thi,
baaki saheli aansoo ko pochhti thi,
to kvi posumpaa vali rail chalti thi,
to kvi chitthi aai hai vali game chalti thi!

vaese ........ ek panne me pura bachpan batana mushkil hai...... :( :)||

                             -mandavi-

No comments:

Post a Comment