EK ANSULJHEE PAHELI HAI , YE AASHAAE...
ma ko bete se aashae,
bete ko baap se aashaae,
har rishte ko har rishte va rishtedaaro se aashaae,
inshaan ko bhagwaan se aashaae,
panchhi-janvaro ko inshano se aashaae,
girte jharne, bahti nadiyaan,
chilmilati dhoop, shital hawa,
suraj-chand, rengte kire-makore,
sabko aashaae, sabse aashaae...........
aashaaon ko khud se aashaae,,,,,,
PR KYA HAIN YE AASHAAE?
ma k sapne hain aashaae,
baap ka pyaar hai aashaae,
bete ki jaroorat hain aashaae,
inshaano ki prathna hai aashaae,
janvaro ki bhookh hai aashaae,
panchhiyo ki sukh hai aashaae,
jharne ki rukh hai aashaae,
nadiya ka sagar hai aashaae,
dhoop ki roshni, hawa ki chahat,
suraj ka swabhimaan, chaand ka abhimaan hai aashaae,
or aashaaon ki aash hain aashaae............................................................................................................................
No comments:
Post a Comment