Monday, February 25, 2013


waqt se waqt ki kya shikayat kare,
ye waqt ki baat hai....
waqt ne hidil ko manaya tha,
khud ko kareeb laya tha...
waqt ne hi pyaar sikhaya tha,
mujhe hansaya tha...
waqt ki harek adaa manmohak thi,
main teri mutthhi me hun, vio hosla deta tha.... !!

hum bhi waqt ki chakachaundh me aese kho gae,
waqt ki aankho ,uske saaye tale so gae..
waqt nikalta chala gaya hum khoe rah gae,
dheere dheere mutthhi khulti gai.......
waqt sisak saham kar nikalta gaya ,
vo bebas tha, hume pata na chala,,,,
mujhe dekhkar duwaae diya ,hume pata na chala.....

meri puri mutthhi khul gai or waqt chala gaya..
jab thandi hawa ne khuli mutthhhi ko sahlaya ...
tan me sihran huii, tab mujhe hosh aaya
khuli mutthhi ko dekhkar aankhe bhar aai...
waqt chala gaya ye sochkar afsos aaya...
ab waqt ko dhoondne me waqt lagaai,

antim saanse chali toh waqt kareeb aaya,
mujhpar muskuraya, baalo ko sahlaya.....
mere chahre ko chuwaa or aansu giraya
ab isss waqt se kya shikayat karun ye waqt ki baat hai
palbhar k lie waqt se lipatkar roi
fir waqt ne mujhe god me sulaya
ab waqt mera aaya, main waqt ko tanha karun
main waqt ko chhod kar chali
waqt ne awaaz lagaya, main muskuraai
ab waqt se kya shikayat karun ye waqt ki baat hai.................!!

-mandavi~
 

Maa ki pari, papa ki laadli,
ghar k sanskaaro me pali,
maryada me bandhi masoom si kali,
phoolo sa chhav mile,
yd kaanto bhara gaaon mile,
har pal ye muskurati hai,
har dard ko seene me dabaati hai,
dukh ka sailaab ho jivan me,
par parivaar ki dhhal bane,
khud angaaro pe khadi hai rhti,
pr mamta ki chhav hai ye,
sanskaaro me pali ye betiyaan,
koi dard nahi, sukhad ehsaas hai ye,

♥ happy daughter's day ♥

Jaha bhi jaaun,
kyun aankhe meri sahmi si rahti hai,
har logo ki nigaahe,
kyun humpar thahri si rahti hai......
kuch halchal karu to,
kyu ye duniya hume kosti hain,
mann ki awaaz nikaalun to,
kyu ye samaaj hume rokti hai.......
kyu har vo nazar jo,
vasnaa se bhari ho, ho hume dekhti hai,
kyu humaare hi apne,
hume paabandiyo ki bedi se baandhti hai.......
kyu jina chaahu khulkar,
bhi hum na jee sakte hain,
kyu aesi bandisho me,
hum janm lie or pale bare hain.......
kyu nigaahe nam hokar,
shishkiyaa bharti hain,
kyu humne janm diya inhe,
jo khud hume jalil karti hai....
Kyu din raat jaage hum,
apni khushiyaa luta di, tujhe paalne me,
kyu tumne mere daaman se khela,
us ek DAMINI ko ujaarkar.....
Kyu sharmshaar karte ho harpal mujhe,
jbbhi teri najre saitaan banti hain,
kya apni bahan ko bhi tune,
haivaaniyat ki nazar se dekha tha......
Jo aaj mujhe lajjit kr diye,
ek dusri beti ka shikaar krke,
kyu main tere lie mannat maangi,
jo tune us khuda k purak ko na bakshaa....
Kyu ghar ujaar rahe ho apne hatho se,
jise tu dharti maa kahta hai,
kyu harpal ye lajja hoti hai,
ki tu mera betaa hai....

-mandavi