Jaha bhi jaaun,
kyun aankhe meri sahmi si rahti hai,
har logo ki nigaahe,
kyun humpar thahri si rahti hai......
kuch halchal karu to,kyu ye duniya hume kosti hain,
mann ki awaaz nikaalun to,
kyu ye samaaj hume rokti hai.......
kyu har vo nazar jo,
vasnaa se bhari ho, ho hume dekhti hai,
kyu humaare hi apne,
hume paabandiyo ki bedi se baandhti hai.......
kyu jina chaahu khulkar,
bhi hum na jee sakte hain,
kyu aesi bandisho me,
hum janm lie or pale bare hain.......
kyu nigaahe nam hokar,
shishkiyaa bharti hain,
kyu humne janm diya inhe,
jo khud hume jalil karti hai....
Kyu din raat jaage hum,
apni khushiyaa luta di, tujhe paalne me,
kyu tumne mere daaman se khela,
us ek DAMINI ko ujaarkar.....
Kyu sharmshaar karte ho harpal mujhe,
jbbhi teri najre saitaan banti hain,
kya apni bahan ko bhi tune,
haivaaniyat ki nazar se dekha tha......
Jo aaj mujhe lajjit kr diye,
ek dusri beti ka shikaar krke,
kyu main tere lie mannat maangi,
jo tune us khuda k purak ko na bakshaa....
Kyu ghar ujaar rahe ho apne hatho se,
jise tu dharti maa kahta hai,
kyu harpal ye lajja hoti hai,
ki tu mera betaa hai....
-mandavi
kyun aankhe meri sahmi si rahti hai,
har logo ki nigaahe,
kyun humpar thahri si rahti hai......
kuch halchal karu to,kyu ye duniya hume kosti hain,
mann ki awaaz nikaalun to,
kyu ye samaaj hume rokti hai.......
kyu har vo nazar jo,
vasnaa se bhari ho, ho hume dekhti hai,
kyu humaare hi apne,
hume paabandiyo ki bedi se baandhti hai.......
kyu jina chaahu khulkar,
bhi hum na jee sakte hain,
kyu aesi bandisho me,
hum janm lie or pale bare hain.......
kyu nigaahe nam hokar,
shishkiyaa bharti hain,
kyu humne janm diya inhe,
jo khud hume jalil karti hai....
Kyu din raat jaage hum,
apni khushiyaa luta di, tujhe paalne me,
kyu tumne mere daaman se khela,
us ek DAMINI ko ujaarkar.....
Kyu sharmshaar karte ho harpal mujhe,
jbbhi teri najre saitaan banti hain,
kya apni bahan ko bhi tune,
haivaaniyat ki nazar se dekha tha......
Jo aaj mujhe lajjit kr diye,
ek dusri beti ka shikaar krke,
kyu main tere lie mannat maangi,
jo tune us khuda k purak ko na bakshaa....
Kyu ghar ujaar rahe ho apne hatho se,
jise tu dharti maa kahta hai,
kyu harpal ye lajja hoti hai,
ki tu mera betaa hai....
-mandavi
No comments:
Post a Comment