Monday, February 25, 2013


waqt se waqt ki kya shikayat kare,
ye waqt ki baat hai....
waqt ne hidil ko manaya tha,
khud ko kareeb laya tha...
waqt ne hi pyaar sikhaya tha,
mujhe hansaya tha...
waqt ki harek adaa manmohak thi,
main teri mutthhi me hun, vio hosla deta tha.... !!

hum bhi waqt ki chakachaundh me aese kho gae,
waqt ki aankho ,uske saaye tale so gae..
waqt nikalta chala gaya hum khoe rah gae,
dheere dheere mutthhi khulti gai.......
waqt sisak saham kar nikalta gaya ,
vo bebas tha, hume pata na chala,,,,
mujhe dekhkar duwaae diya ,hume pata na chala.....

meri puri mutthhi khul gai or waqt chala gaya..
jab thandi hawa ne khuli mutthhhi ko sahlaya ...
tan me sihran huii, tab mujhe hosh aaya
khuli mutthhi ko dekhkar aankhe bhar aai...
waqt chala gaya ye sochkar afsos aaya...
ab waqt ko dhoondne me waqt lagaai,

antim saanse chali toh waqt kareeb aaya,
mujhpar muskuraya, baalo ko sahlaya.....
mere chahre ko chuwaa or aansu giraya
ab isss waqt se kya shikayat karun ye waqt ki baat hai
palbhar k lie waqt se lipatkar roi
fir waqt ne mujhe god me sulaya
ab waqt mera aaya, main waqt ko tanha karun
main waqt ko chhod kar chali
waqt ne awaaz lagaya, main muskuraai
ab waqt se kya shikayat karun ye waqt ki baat hai.................!!

-mandavi~
 

No comments:

Post a Comment